abhi tak hausla thahra hua hai nafas ka silsila thahra hua hai ragon par aaj bhi hai larza tari nigah mein hadsa thahra hua hai faqat qabil ne buniyaad dali abhi tak silsila thahra hua hai bas ek tar-e-nafas ka tutna hai yahi ek hadsa thahra hua hai nazar ki chuk thi bas ek lamha sadi ka qafila thahra hua hai jahan tak panw mere ja sake hain wahin tak rasta thahra hua hai wo hum se ruth kar bhi dur kab hain dilon ka rabta thahra hua hai wahi qatil wahi munsif bana hai usi se faisla thahra hua hai
This is a great umeed tutna shayari. Please share if you liked this!!!