abhi nazar mein thahar dhyan se utar ke na ja is ek aan mein sab kuchh tabah kar ke na ja mujhe hijab nahin bosa-e-judai se magar labon ke piyale mein pyas bhar ke na ja mere khayal mein tera koi jawaz nahin khuda ki tarah meri zat mein bikhar ke na ja sambhaal apni nigahon mein wapsi ke sawal mere jawab ke pindar se guzar ke na ja har ek rasta diwar ban ke hail hai na ja ki dasht nae silsile hain ghar ke na ja