abhi tak un ke wahi sitam hain jafa ki khu bhi nahin gai hai wo ranjishen bhi nahin gai hain wo guftugu bhi nahin gai hai nasheman apna utha na yan se khizan jo aai to aai bulbul bahaar rukhsat abhi hui hai gulon ki bu bhi nahin gai hai gai jawani to jae dilbar mujhe hai ulfat hanuz baqi wo iltija bhi nahin gai hai wo justuju bhi nahin gai hai ye rashk-e-bulbul ki jaan dene ko tu abhi se tadap rahi hai abhi to hai bu-e-gul chaman mein wo ku-ba-ku bhi nahin gai hai 'shabab' bosa liya jo main ne to kya bigad kar wo shokh bola adab zara bhi nahin hai tujh ko haya to chhu bhi nahin gai hai