aashiq ki jaan jati hai is bankpan ko chhod ai but khuda ke waste apne chalan ko chhod bulbul na rahm aaega sayyaad ko kabhi hai jaan agar aziz to tu is chaman ko chhod us ka yahi tariq raha aashiqon ke sath ai dil bas ab shikayat-e-charkh-e-kuhan ko chhod sahra ki samt panw badhe jate hain dil aa wahshat pukarti hai ki hubbulwatan ko chhod basne ko chal tu dasht-e-khizan-dida mein 'shabab' gulzar mein bahaar-e-gul-o-nastaran ko chhod