abhi to aap hi hail hai rasta shab ka qarib aae to dekhenge hausla shab ka chali to aai thi kuchh dur sath sath mere phir is ke baad khuda jaane kya hua shab ka mere khayal ke wahshat-kade mein aate hi junun ki nok se phuta hai aabla shab ka sahar ki pahli kiran ne use bikher diya mujhe sametne aaya tha jab khuda shab ka zamin pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se tere qarib se guzra hai qafila shab ka sahar ka lams meri zindagi badha deta magar garan tha bahut mujh pe katna shab ka kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai ki dil ke sath hi dekha hai dubna shab ka chatakh uthi hai rag-e-jaan to ye khayal aaya kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka