ab ikhtiyar mein maujen na ye rawani hai main bah raha hun ki mera wajud pani hai main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin tere khayal ki rangat bhi aasmani hai zara bhi dakhl nahin is mein in hawaon ka hamein to maslahatan apni khak udani hai ye khwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim har ek chiz meri zat mein purani hai wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai nawah-e-jaan mein bhatakti hain khushbuen jis ki wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin main ji raha hun ye sanson ki khush-gumani hai