abhi to itna andhera nazar nahin aata to sath kyon mera saya nazar nahin aata in aankhon se ye zamana to dekh sakta hun bas ek apna hi chehra nazar nahin aata jab ek andha andhere mein dekh leta hai mujhe ujalon mein kya kya nazar nahin aata bandhi yaqin ki patti hamari aankhon par so chhal fareb ya dhoka nazar nahin aata jo dikh rahe hain wo chabi ke sab khilaune hain yahan to koi bhi zinda nazar nahin aata tarashe but ki to tarif sabhi karte par hamare hath ka chhaala nazar nahin aata abhi to phaili yahan dhundh itni nafrat ki kisi ko pyar ka rasta nazar nahin aata 'anis' yun to hazaron se roz milta hun magar mujhe koi tum sa nazar nahin aata