jab yaad teri aati hai thamte nahin aansu

jab yaad teri aati hai thamte nahin aansu
phir raat bhi ho jae to sote nahin aansu

jab khauf-e-khuda se ye nikal jaen to moti
juz aab ke kuchh aur to hote nahin aansu

rukhsar ke rasta pe hi chalte hain ye sidhe
insan ki tarah rah se bhatakte nahin aansu

tazim mein palkon se utar jate hain niche
gham aaen to baithe hue rahte nahin aansu

jab bhi main bulata hun chale aate hain milne
teri tarah ruswai se darte nahin aansu

kajal ke bikharne se bana aur hasin wo
haalanki kisi aankh mein jachte nahin aansu

nadan 'nabil' un se to jal jaega kaghaz
kaghaz ke kisi safhe pe likhte nahin aansu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close