abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par palat ke dekhiye aate hain kab makanon par khayal-e-kham mein guzri hai zindagi sari haqiqaton ka guman hai abhi fasanon par qadam qadam pe tazadon se sabiqa hai jahan yaqin kaise kare koi in gumanon par wo jis ki chah mein mar mar ke ji rahe hain yahan na jaane kaun si basti hai aasmanon par jahan bhi tir laga bas wahi hadaf thahra hai phir bhi zoam bahut un ko in kamanon par main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun madar-e-zist hi jin ka hai kuchh bahanon par kadi hai dhup jhulasti hain ab dalilen sabhi yaqin hai phir bhi unhen kitna saebanon par nazar mein zehn mein dil mein kushadgi lao hawa ke rukh ka taqaza hai baadbanon par na jaane kitni hi sadiyan lagengi aur abhi dilon ki baat jab aa paegi zabanon par ajib un ko saliqa hai khul ke jine ka nai hai kaun si tohmat ye hum diwanon par hamari zat se aabaad kuchh kharabe hain hai apne dam se ujala kai maqamon par khirad-nawaz junun aur junun-nawaz khirad hain ab bhi nur tariqe ye kuchh thikanon par use jagao dase tum ko mar dale tumhein tumhaari zat mein baitha hai jo khazanon par