fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana ajal kya hai khumar-e-baada-e-hasti utar jaana azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana khuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana urus-e-jaan naya pairahan-e-hasti badalti hai faqat tamhid aane ki hai duniya se guzar jaana musibat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hain mubarak buz-dilon ko gardish-e-qismat se dar jaana wo tab-e-yas-parwar ne mujhe chashm-e-aqidat di ki sham-e-gham ki tariki ko bhi nur-e-sahar jaana bahut sauda raha waiz tujhe nar-e-jahannam ka maza soz-e-mohabbat ka bhi kuchh ai be-khabar jaana karishma ye bhi hai ai be-khabar iflas-e-qaumi ka talash-e-rizq mein ahl-e-hunar ka dar-ba-dar jaana ajal ki nind mein bhi khwab-e-hasti gar nazar aaya to phir bekar hai tang aa ke is duniya se mar jaana wo sauda zindagi ka hai ki gham insan sahta hai nahin to hai bahut aasan is jine se mar jaana chaman-zar-e-mohabbbat mein usi ne baghbani ki ki jis ne apni mehnat ko hi mehnat ka samar jaana sidhaari manzil-e-hasti se kuchh be-e'tinai se tan-e-khaki ko shayad ruh ne gard-e-safar jaana