abhi to rah mein baqi hain imtihan bahut abhi to dur hai wo aakhiri nishan bahut zamin pe gir ke pasheman tha aasman bahut ki pastiyon ko bhi ‘azmat ka tha guman bahut khud apne pairon pe wo ped jhuk gaya ek din dikha raha tha jo duniya ko aan-ban bahut andheri raat mein sab ko panah di jis ne chamakti subh mein tanha tha wo makan bahut saron pe sainkadon suraj hon aag barsate panah lene ko bas ek saeban bahut