wo nigah-e-jalwa-ara chahiye zindagi ka istiara chahiye ji uthega phir se quqnus-sokhta pahli barish ka ishaara chahiye lutf-e-hasti ke liye hum ko faqat dard-o-gham ka ek sahaara chahiye sard hota ja raha hai ab lahu phir ragon mein ek sharara chahiye hon qalam-rau mein meri shams-o-qamar is bulandi par sitara chahiye zulmat-e-shab aur balaon ka nuzul ism-e-azam ka sahaara chahiye gham ki zad par hai dil-e-hirman-nasib is safine ko kinara chahiye