abhi to yahi dekhna chahta hun

abhi to yahi dekhna chahta hun
nahin chahta un ko ya chahta hun

wo kahte hain tum mujh se kya chahte ho
yahi kuchh to main jaanna chahta hun

meri niyaton par nazar rakhne walo
khudara bata do main kya chahta hun

na samjha koi jis ko wo harf hun main
ghalat ho gaya hun mita chahta hun

wo pur-josh aansu wo khamosh aahen
wahi ishq ki ibtida chahta hun

main samjha wo kuchh puchhna chahte hain
wo samjhe ki main kuchh kaha chahta hun

ummidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
mitane ke liye duniya nai ijad karta hun

teri miad-e-gham puri hui ai zindagi khush ho
qafas tute na tute mein tujhe aazad karta hun

jafa-karo meri mazlum khamoshi pe hanste ho
zara thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun

mein apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun

mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun

khudi ki ibtida ye thi ki apne-ap mein gum tha
khudi ki intiha ye hai khuda ko yaad karta hun

buton ke ishq mein khoya gaya hun warna ai 'akhtar'
khuda shahid hai main aksar khuda ko yaad karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close