abhi us tak kahan pahuncha samundar wo apni zat mein aisa samundar zamin odhe hai meri sabz chadar mere aanchal mein hai nila samundar mujhe baadal ki mahmil mein bitha ke tumhaare shahr tak laya samundar mera pairaya-e-izhaar dekhen main hun mitti hawa shoala samundar mujhe mahdud zehnon se shikayat bahut achchha laga phaila samundar mohabbat ki jahan barsi hai shabnam dilon ke ho gae sahra samundar mujhe kya tajraba kam paniyon ka ki mera shauq hai gahra samundar samajh leta hai ye sab dil ki baaten purane doston jaisa samundar