na sang-e-rah na sadd-e-quyud ki surat main dah raha hun ab apne wajud ki surat jagah pe apni jama hai wo sang ki manind bikhar raha hun main diwar-e-dud ki surat jabin pe khak-e-taqaddus hun mujh ko pahchano chamak raha hun main naqsh-e-sujud ki surat meri nazar mein tayaqqun ki dhup raushan ho kabhi to phaile wo rang-e-shuhud ki surat guzashta sadiyon ka bhi bojh mujh ko dhona tha ada hua hun main har lamha sud ki surat laraz raha hun main apni jasaraton par 'sham' wo sahma sahma khada hai jumud ki surat