abhi ya-rab bahut kuchh wusaten hain mere daman mein

abhi ya-rab bahut kuchh wusaten hain mere daman mein
chaman ka kanta kanta khinch ke aa jae bayaban mein

mere mazhab pe rashk-afroziyan hain kufr-o-iman mein
ilahi kya kashish rakh di jabin-e-ijz-saman mein

kahan tak hoga aalamgir ye wahshat ka hangama
ye kaisi wusaten hain kucha-e-chaak-e-gareban mein

tahi saghar nazar aaya na koi is kharabe mein
sada-e-rashk be-mafhum si hai bazm-e-hirman mein

zara us ki haqiqat par bhi bahs-araiyan waiz
jise ek jam ne pahuncha diya hai bazm-e-irfan mein

mohabbat ne idhar dil ko gudaz-e-arzu bakhsha
udhar kuchh bijliyan bhar din nigah-e-tur-saman mein

zara ai hairat-e-jalwa mere dil ko liye rahna
naqab ulte hue hain wo tajalli-gah-e-irfan mein

azal se dast-e-gul-chin ka na dekha jis ne saya bhi
main aisi ek chaman-bandi ka hasil hun gulistan mein

gulistan raqs kyon karta meri rangin-nawai par
na hoti marifat 'basit' jo taba-e-sher-saman mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close