ab na taDpae fareb-e-gham-e-hijran mujhko

ab na tadpae fareb-e-gham-e-hijran mujh ko
nazar aate hain wo rag rag mein khiraman mujh ko

jaan kar us ne charagh-e-shab-e-hijran mujh ko
kar diya subh-e-azal hi se farozan mujh ko

ab kahan jaun bata gardish-e-dauran mujh ko
har taraf milne lagi manzil-e-jaanan mujh ko

mujh se raushan hai har ek gosha-e-imkan-e-hayat
phir bhi kahte hain charagh-e-tah-e-daman mujh ko

dur hota hai kahin dil se nasheman ka khayal
bhul sakti hai koi barq-e-gulistan mujh ko ko

arsa-e-shauq pe chhata hi chala jata hun
le ke ubhra hai tera husn-e-numayan mujh ko

dekhiye phir mere jazbaat-e-junun ki lahren
kah to de koi zara nang-e-gareban mujh ko

aah wo dil ki jise dard ki lazzat na mili
hae wo dard ki jis ka hua arman mujh ko

main wahi raaz-e-haqiqat hun ki barson 'basit'
parda-e-kufr mein dhunda kiya iman mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close