abhi zamin ko haft aasman banana hai isi jahan ko mujhe do-jahan banana hai bhatak raha hai akela jo koh-o-sahra mein us ek aadmi ko karwan banana hai ye shakh-e-gul jo ghiri hai hazar kanton mein mujhe isi se naya gulistan banana hai main jaanta hun mujhe kya banana hai lekin wahan banane se pahle yahan banana hai charagh le ke use shahr shahr dhundhta hun bas ek shakhs mujhe raaz-dan banana hai hamein bhi umr-guzari to karni hai 'akbar' unhen bhi mashghala-e-dil-baran banana hai
This is a great bewakoof banana shayari. Please share if you liked this!!!