abhi zara si hawa lagi hai abhi mohabbat nahin hui hai kisi pe mar ke hai jina sikha jo jaan de di to jaan bachi hai jo main ne puchha ki ishq hai kya wo hans ke bole ye zindagi hai jo qalb ko zindagi na bakhshe wo bandagi bhi kya bandagi hai yun ilm malum ko na samjho ye ilm malum ki nafi hai ye ishq ki hai namaz jis mein na to imam aur na muqtadi hai tumhaari maula ki khoj 'alam' ye hath kangan ko aarsi hai