aziyyaten yun badha raha hun main dil ki gardan daba raha hun wo hath mein dil thama ke bole sambhaalo is ko main ja raha hun khuda alim-o-basir hai jab to haal-e-dil kyon suna raha hun naya nahin hai ye ishq mera azal se hi mubtala raha hun mujhe farishta na bol pyare ja puchh un se main kya raha hun hijab ka hai azab warna khuda se kab main juda raha hun