abr chhaega to barsat bhi ho jaegi did hogi to mulaqat bhi ho jaegi ai dil-e-husn-e-talab mashq-e-tasawwur tu badha phir jo chahega wahi baat bhi ho jaegi sar jhukae hue baithe ho abas baada-kasho jam uthaoge to barsat bhi ho jaegi aaj us ne nae andaz se dekha hai mujhe ghaaliban aaj koi baat bhi ho jaegi be-khudi sirf dalil-e-gham-e-pinhan hi nahin ek din kashif-e-haalat bhi ho jaegi bul-hawas dahr ke rangin manazir se na khel din hua hai to yahan raat bhi ho jaegi jaan de kar teri mahfil mein kabhi jaan-e-'aziz' jaur ki tere mukafat bhi ho jaegi