dil ki rahen dhundne jab hum chale hum se aage dida-e-pur-nam chale tez jhonka bhi hai dil ko nagawar tum se mas ho kar hawa kam kam chale thi kabhi yun qadr-e-dil is bazm mein jaise hathon-hath jam-e-jam chale hae wo aariz aur us par chashm-e-nam gul pe jaise qatra-e-shabnam chale aamad-e-sailab ka waqfa tha wo jis ko ye jaana ki aansu tham chale kahte hain gardish mein hain sat aasman az-sar-e-nau qissa-e-adam chale khil hi jaegi kabhi dil ki kali phul barsata hua mausam chale be-sutun chhat ke tale is dhup mein dhundne kis ko ye mere gham chale kaun jine ke liye marta rahe lo sambhaalo apni duniya hum chale kuchh to ho ahl-e-nazar ko pas-e-dard kuchh to zikr-e-abru-e-gham chale kuchh adhure khwab aankhon mein liye hum bhi 'akhtar' darham o barham chale