abr-e-dida ka mere ho jo na ojhaD pani

abr-e-dida ka mere ho jo na ojhad pani
phir kahin jhidki lagae na kahin jhad pani

mere rone se dil-e-sang jo aab aab na ho
kohsaron se gire phir na dhada-dhad pani

ye andhera ye shab-e-tar kahan jaoge
din hain barsat ke galiyon mein hai kichad pani

barq-andaz na kis tarah karun nala-e-garm
jaan betab hai bijli ki tarah tad pani

rashk-e-lal-e-lab-e-lalin se jigar-khun yaqut
sharm-e-dandan se hai moti ki har ek lad pani

tir-baran mizha-e-yar mujhe karti hai
main samajhta hun barasta hai jhada-jhad pani

main jo ai 'shad' na roun sifat abr-e-bahaar
paen ek qatra kahin jhil na jhabad pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close