abr hai aandhi hai aur tufan hai aadmi ki kya nirali shan hai hai bahut pechida-tar rah-e-wafa dil lagana to bahut aasan hai kis masih-e-waqt ka hai ghalghala sara aalam kis liye hairan hai muddaton ki hai tere kuche ki sair sirf tujh se jaan aur pahchan hai hum to hain us zulf ke 'saqi' asir jis pe qurban din hai iman hai