abr hun dhup hun sahra hun samundar hun main mukhtalif rup hain mere ki sukhanwar hun main dhup niklegi to un ka bhi bharam tutega jin ki nazron mein abhi mom ka paikar hun main kisi daman ke muqaddar ko jagane ke liye waqt ki palkon pe thahra hua gauhar hun main tu jo chhu le to khadd-o-khal numayan ho jaen warna dhundlaya hua khwab sa manzar hun main dekhna jab kisi meamar ke hath aaunga aaj diwar se ukhda hua patthar hun main khud-shanason ne abhi mujh ko khangala hi nahin warna har rang-e-talatum ka shanawar hun main jis pe tahrir bhi taqrir bhi nazan hai 'nazir' aisa shahbaz-e-qalam aisa sukhanwar hun main