abr ka saya dhup ki chadar tere nam is dharti ke sare manzar tere nam shab ke girye se fursat ki sabil kahan jaisa bhi hai apna muqaddar tere nam girti bijli jalta nasheman hanste log mere patthar mere gul-e-tar tere nam gali gali mein tez hawa ki sargoshi aur ghar ghar ke sarw-o-sanobar tere nam chup rah kar main ji lun zulm ki nagri mein ya main harf saja lun lab par tere nam razm mein sari sulh ki baaten aur 'bedi' bazm mein sab chalte hue khanjar tere nam