jis ki KHatir maine duniya ki taraf dekha na tha

jis ki khatir main ne duniya ki taraf dekha na tha
wo mujhe yun chhod jaega kabhi socha na tha

us ke aansu hi batate the na ab lautega wo
is se pahle to bichhadte waqt yun rota na tha

rah gaya tanha main apne doston ki bhid mein
aur hamdam wo bana jis se koi rishta na tha

qahqahon ki dhup mein baithe the mere sath sab
aansuon ki barishon mein par koi bhiga na tha

ashk palkon pe bichhad kar apni qimat kho gaya
ye sitara qimti tha jab talak tuta na tha

marmarin gumbad pe rukti thi har ek pyasi nazar
par kasi ne maqbare mein gham chhupa dekha na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close