abr ki ot se chhalka hai udhar dhup ka rang hai sukun-bakhsh bahut waqt-e-sahar dhup ka rang wadiyan jhilen hon parbat hon ki hon dasht-o-daman kitne lagte hain hasin chamke agar dhup ka rang anjuman shab ki uthi nur-e-sahar aate hi odhne lag gae gulshan mein shajar dhup ka rang shab ki tariki mein soe the jo thak kar tair taza-dam ho gae jab aaya nazar dhup ka rang waqt zindan ke andheron mein guzara jis ne us ke hujre mein kare kash guzar dhup ka rang 'nazli' pahn liya dharti ne zardoz libas jab ufuq se hua firdaus-e-nazar dhup ka rang