aaj phir dard jigar se guzra ek sagar jyun bhanwar se guzra tar-ba-tar yaad liye ek baadal dabdabaya sa nazar se guzra dar pe un ke bhi padi thi sankal aaj kaisa main udhar se guzra gum-shuda ganw liye khwabon mein main haqiqat ke nagar se guzra ek charcha thi meri barbaadi aaj jab jab main jidhar se guzra