abr nariyal naddi raste pe main aur tu aatma ko kalpae koelon ki ku hu ku kufa tere kuchon se apna karwan guzra sar sawar nezon par qibla-ru sitara-ju ya darun-e-afsana teri meri chap ubhre madh-milan ki raaton mein ya jalen bujhin jugnu roz-e-afrinash se apni ham-qadam sajni panchhiyon ki chahkaren bansiyon ki haw-hu rahguzar paraggyan tu mile sada sayyan kar gaya hai be-qabu tere pyar ka jadu gat par shararat se phulti hui purwa bhed aur bhitar mein jhulti hui khushbu pichhe pichhe shahzada biti dastanon mein aage aage ghode ke bhagta hua aahu mod ek kahani ka sach ki pasbani ka al-atash ki aawazen dasht mein kinar-e-ju