aur ant mein judai badi karb-nak hai tujh mujh mein yun to roz-e-azal se wifaq hai niche kahin badan mein miti khwahishon ke khwab upar daraazi-e-gham-e-dauran ki khak hai sakhiyan sajili bhor nayan darpna ki or aanand por por ajab inhimak hai qilon ke ye hisar nahin qurbaton ke dayar in burjiyon ke par hawa-e-firaq hai nyare piya ke rup kahin gun kahin sarup mathura ka baadshah kahin bhainson ka chaak hai ye rajdhaniyan yahan be-bas kahaniyan kangan mein hath hai kahin nathli mein nak hai mitha mithas se hai wo ujla kapas se baaton mein ishtirak milan mein tapak hai mitti ki sab sifaraten bandhan bashaaraten sabza nadi kinaron mazaron pe aak hai haq-goi ham-rikab darida-badan ke bab karbal kitab sidq siyaq-o-sabaq hai