abr ne chand ki hifazat ki chand ne khud bhi khub himmat ki aaj dariya bahut udas laga ek katre ne phir baghawat ki wo parinda hawa ko chhed gaya us ne kya khub ye himaqat ki waqt munsif hai faisla dega ab zarurat bhi kya adalat ki dhup ka dam nikal gaya aakhir chhanw hone lagi hai shiddat ki