sare mausam badal gae shayad

sare mausam badal gae shayad
aur hum bhi sambhal gae shayad

jhil ko kar ke mahtab supurd
aks pa kar bahal gae shayad

ek thahraw aa gaya kaisa
zawiye hi badal gae shayad

apni lau mein tapa ke hum khud ko
mom ban kar pighal gae shayad

kanpti lau qarar pane lagi
jhonke aa kar nikal gae shayad

hum hawa se bacha rahe the jinhen
un charaghon se jal gae shayad

ab ke barsat mein bhi dil khush hai
hijr ke khauf tal gae shayad

saf hone lage sabhi manzar
ashk aankhon se dhal gae shayad

barish-e-sang jaise barish-e-gul
sare patthar pighal gae shayad

wo 'alina' badal gaya tha bahut
is liye hum sambhal gae shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close