abr sarka chand ki chehra-numai ho gai ek jhalak dekha use aur aashnai ho gai so gaya to khwab apne ghar mein le aae mujhe jaise meri waqt se pahle rihai ho gai mere kamre mein koi taswir pahle to na thi us ko dekha sade kaghaz par chhapai ho gai main khuli chhat se utar aaya bhare bazar mein samne khidki ki raunaq jab parai ho gai ud rahi hai har taraf suraj ke angare ki rakh bujh gaya din jal ke khakistar khudai ho gai kash jite-ji shajar sae mein le leta mujhe wasl ke mausam se pahle hi judai ho gai bah chuke aansu to chashm-e-sabz ka rang ud gaya rafta rafta zard is dariya ki kai ho gai ho gai 'shahid' wo chashm-e-sang pani kya hua kis tarah nakhun se patthar par khudai ho gai