tumhaare honTon pe bas mera nam zinda rahe

tumhaare honton pe bas mera nam zinda rahe
tumhaare sath bitai ye sham zinda rahe

khuda kare ki ye niyyat hi kaam aa jae
hawala ho ya na ho mera kaam zinda rahe

mujhe dawam ki chahat nahin magar ai khuda
main chahti hun ki mera kalam zinda rahe

ajib dhang ki ye chaal chal gaya hai koi
ki baadshah na ho aur ghulam zinda rahe

meri ghazal ke sab ashaar chahe rad ho jaen
magar imam pe mera salam zinda rahe

zamane bhar ka mujhe hosh tak na ho 'bushra'
tumhaari yaad ka bas ek jam zinda rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close