abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai jitni kasai saif ye kasti chali gai pesh-e-nazar hasinon ki basti chali gai aaine ki bhi husn-parasti chali gai achchha kiya sharab khuda ne haram ki rindon ke sath baada-parasti chali gai kis shahr se misal dun aqlim-e-ishq ko jitni ye ujdi aur bhi basti chali gai roze mah-e-siyam mein tode sharab se hum faqa-maston ki wahi masti chali gai wahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhi ki gurez badle hamare ghar se barasti chali gai khain khuda ki rah mein lakhon hi thokaren ta-la-makan bulandi-o-pasti chali gai maston ne tark-e-mai ki qasam khai hai to kya tauba kahan wo baat jo masti chali gai in abruon ne ek ishaare mein jaan li yak-dast teri tegh-e-do-dasti chali gai dil hi gaya to kaun buton ka kare khayal kabe ke sath sang parasti chali gai hai aasman tak tere giryan ka mazhaka bijli bhi rote dekh ke hansti chali gai go dil ke badle daulat-e-duniya-o-din mili to bhi ye jins hath se sasti chali gai dagh-e-sharab daman-e-taqwa mein rah gaya nashshe ko ruh-e-shaikh tarasti chali gai tahtus-sara ko pahunchi hamari farotani hum jitne past ho gae pasti chali gai kyun kar ho ijtima-e-naqizain ai 'munir' aate hi maut ke meri hasti chali gai