achchha hai isi surat-e-haalat mein rahna din shahr mein aur raat mazafat mein rahna har raat sitaron ko zamin par liye phirna har subh kahin hamd-o-munajat mein rahna is bhid mein gard-e-dar-o-diwar hai itni mumkin hi nahin hath kisi hat mein rahna us shakhs ki chahat bhi ajab hai ki hamesha khatir mein na lana to mudaraat mein rahna ye shahr samundar ke kinare pa hai aabaad is shahr mein rahna bhi to auqat mein rahna hum ahl-e-tariqat ki yahi rasm rahi hai zindan mein ya halqa-e-sadat mein rahna dikhna to 'salim' apne rawayye hi pe dikhna khush rahna to apni hi kisi baat mein rahna