kafir din aur munkir raaten kin waqton mein aa pahuncha hun tahtus-sara mein le jaenge jin logon mein aa pahuncha hun mere dhundle naqsh dobara kuchh gahre hote jate hain chalte phirte pahli umr ke bite dinon mein aa pahuncha hun ek ummid hai aane wala waqt mujhe bhi dohraega lafz-o-khayal-o-fikr mein dhal kar main sheron mein aa pahuncha hun in zarron ki mutthi mein bhi sad-ha khwabon ki qabren hain dil mein itne sog utha kar kin raston mein aa pahuncha hun jin mein koi rang-e-mohabbat ubhra nahin hai koshish se bhi apna shauq-e-nazara le ke kin aankhon mein aa pahuncha hun taza thandi sabz hawaen har ek mausam mein hansti thin is manzar ko dhundte aaj main in galiyon mein aa pahuncha hun