achchha-khasa hisab hun main bhi dushmani ka jawab hun main bhi mere andar hai ek jahan dekho fikr-o-fan ki kitab hun main bhi mujh se baqi hai raunaq-e-gulshan ek mahakta gulab hun main bhi ek tu hi nahin zamane mein tujh sa khana-kharab hun main bhi subh hote hi khatm ho jae aisi shabnam ka khwab hun main bhi naqido ek nazar idhar bhi ho daur-e-hazir ka bab hun main bhi ek taaruf 'nazar' hai itna sa shaer-e-inqalab hun main bhi