wahi hum hain wahi lachaariyan hain wahi yaron ki duniya-dariyan hain wo sukhi aankh se rona bilakna aza-dari mein bhi fan-kariyan hain kahan tak tum ilaj is ka karoge ki is dil ko kai bimariyan hain nasib apna likha hai aasman par zamin par sirf zimmedariyan hain saba sargoshiyon mein kah rahi hai yahan se kuch ki tayyariyan hain nahin kuchh farq gul-rut ho ya patjhad tabiat ki juda gulkariyan hain jigar patthar ka rakhta hai sukhnawar chatanon si yahan tah-dariyan hain mata-e-gham chhupaen kyon na 'afsar' sharifon ki yahi zar-dariyan hain