achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat goya marazul-maut hai aazar-e-mohabbat kyon sard hai ab josh-e-kharidar-e-mohabbat kya ho gai wo garmi-e-bazar-e-mohabbat ma'lum hua ab ki wo thin baaten hi baaten shokhi se shararat se tha iqrar-e-mohabbat ya aise wo bhule ki samajhte hi nahin kuchh ya khud mujhe aata nahin izhaar-e-mohabbat hain ek hi dore mein bandhe shaikh-o-barahman donon hi ki gardan mein hai zunnar-e-mohabbat gul-daste hain zakhmon ke kanwal daghon ke dil mein kya turfa hai aaraish-e-darbar-e-mohabbat chitwan kahe deti hai ki ulfat hai use bhi kya farz hai munh khol ke iqrar-e-mohabbat lazzat wo shakar mein na maza shahd ka aisa kuchh aur hai shirini-e-guftar-e-mohabbat mahshar mein 'khayal' aaj karen us ka gila kya duniya mein to karte rahe izhaar-e-mohabbat