dam bhar bhi jo ho jae mulaqat bahut hai do baaten bhi wo kar len to ye baat bahut hai lutf aaj-kal aata hai siwa baada-kashi ka matbu mujhe is liye barsat bahut hai din bhar to judai mein tadapte hue guzra jate ho kahan thahro abhi raat bahut hai kyon bul-hawason mein wo mujhe ginte hain ya-rab ishq aur hawas mein to munafat bahut hai do ghunt bhi hai gham ke ghalat karne ko kafi thodi si bhi saqi ki mudaraat bahut hai ai dil unhen dar hai kahin badnam na ho jaen ye chori chhupe ki bhi mulaqat bahut hai naseh teri bak-bak se to sar phir gaya apna mohmal ye bahut hai ye kharabaat bahut hai raushan hue chaudah tabaq ek jam se tere ehsan tera pir-e-kharabaat bahut hai dil le ke mera ji wo badhate hain ye kah kar ho dil se to thodi si bhi saughat bahut hai mujh mast ko kya saltanat-e-jam ki tamanna khidmat teri ai pir-e-kharabaat bahut hai rahta hai 'khayal' aap ka har-waqt sana-khwan iman ki hai baat khush-auqat bahut hai