achchha tumhaare shahr ka dastur ho gaya jis ko gale laga liya wo dur ho gaya kaghaz mein dab ke mar gae kide kitab ke diwana be-padhe-likhe mashhur ho gaya mahlon mein hum ne kitne sitare saja diye lekin zamin se chand bahut dur ho gaya tanhaiyon ne tod di hum donon ki ana! aaina baat karne pe majbur ho gaya dadi se kahna us ki kahani sunaiye jo baadshah ishq mein mazdur ho gaya subh-e-visal puchh rahi hai ajab sawal wo pas aa gaya ki bahut dur ho gaya kuchh phal zarur aaenge roti ke ped mein jis din mera mutalba manzur ho gaya