bas-ki ek jins-e-raegan hun main jitna arzan bikun giran hun main na yahan aur na ab wahan hun main kya bataun tumhein jahan hun main yaad mein hai kisi ki istighraq kaun pahunche wahan jahan hun main madad ai naghma-sanji-e-bulbul kab se gum-karda aashiyan hun main dhab hai ye yar tak pahunchne ka kash qasid hi ka bayan hun main nai ki manind khushk hain aaza kyun na sar-ta-ba-pa fughan hun main lutf paya hai khaksari mein hun zamin go ki aasman hun main kis ne jalwa dikha diya hai aaj zamzama-sanj-e-al-aman hun main ta-kuja tez-gamiyan bas kar tausan-e-shauq ham-inan hun main gard deti hai karwan ka pata yaadgar-e-guzishtagan hun main jaan kyunkar nisar-e-maqdam ho ab wo aae ki nim-jaan hun main kya nahin yaad barq ka girna phir banata jo aashiyan hun main ye safar dekhiye kahan ho tamam misl-e-reg-e-rawan rawan hun main koi is ahd mein nahin hai shafiq aap apne pe mehrban hun main dekh pachhtaega na le ke mujhe maya-e-nazish-e-dukan hun main ishq mein sau balaen lin sar par apne haq mein khud aasman hun main qadr kyun khwan-e-dahr par ho meri sach hai na-khwanda mehman hun main awwal-e-shab hi hijr mein un ke dhundhta khanjar-o-sinan hun main na tala us ke dar se ai 'majruh' dusra sang-e-astan hun main