achchhi nahin sawal pe sail se chhed-chhad ki kya samajh ke tum ne mere dil se chhed-chhad hai mujh se qaid-o-band ka jhagda laga hua rahti hai roz tauq-o-salasil se chhed-chhad laila ka nam bhi nahin sahra-e-najd mein majnun abas hai ab kisi mahmil se chhed-chhad ab chhedti hai aa ke wo yaad-e-chaman mujhe rahti thi jab gulon se anadil se chhed-chhad saqi sharab-e-nab ka udta chala hai rang uthti chali hai ab teri mahfil se chhed-chhad katti chali hai manzil-e-ulfat usi tarah hoti chali hai rahbar-e-manzil se chhed-chhad mahfil se un ki badh ke ye zalim utha na de kuchh dard kar raha hai mere dil se chhed-chhad ye shokhiyan hain aamad-e-fasl-e-bahaar ki kaliyan jo kar rahi hain anadil se chhed-chhad aaina dekhte hi wo khamosh ho gae kuchh kar na sake madd-e-muqabil se chhed-chhad dena use hai mit ke jahan ko fana ka dars karti hai mauj is liye sahil se chhed-chhad 'khushtar' nikal hi aaengi baaten bhi kaam ki karte raha karo kisi aaqil se chhed-chhad