ban gain chhuriyan adaen naz khanjar ho gaya jaan ka dushman har ek andaz-e-dilbar ho gaya jalwa-e-be-tab jab parde se bahar ho gaya arsa-gah-e-khalq ek maidan-e-mahshar ho gaya but khafa ho kar gae ehsan mujh par ho gaya yani ab ye dil faqat allah ka ghar ho gaya ab sataega mujhe kya iztirab-e-zindagi ab to ye dil ranj-e-nakaami ka khugar ho gaya walwala tha manzil-e-ulfat mein shauq-e-dil ke sath ek ne himmat dilai ek rahbar ho gaya jalwa-gah-e-naz ki ushshaq se zinat badhi ye hujum-e-ahl-e-did ek husn-e-manzar ho gaya nafs par qabu agar paya to sab kuchh pa liya jit us ki hai ki jis se wo musakhkhar ho gaya qimat-e-mai ho gai 'khushtar' hamari zindagi jo hamare pas tha sab nazr-e-saghar ho gaya