ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi

ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi
nigah-e-mast se duniya kharab ho ke rahi

ghazab tha un ka talawwun ki chaar hi din mein
nigah-e-lutf nigah-e-itab ho ke rahi

teri gali ki hawa dil ko ras kya aati
hua ye haal ki mitti kharab ho ke rahi

wo aah-e-dil jise sun sun ke aap hanste the
khadang-e-naz ka aakhir jawab ho ke rahi

padi thi kisht-e-tamanna jo khushk muddat se
rahin-e-minnat-e-chashm-e-pur-ab ho ke rahi

hamari kashti-e-tauba ka ye hua anjam
bahaar aate hi gharq-e-sharab ho ke rahi

kisi mein tab kahan thi ki dekhta un ko
uthi naqab to hairat naqab ho ke rahi

wo bazm-e-aish jo rahti thi garm raaton ko
fasana ho ke rahi ek khwab ho ke rahi

'jalil' fasl-e-bahaari ki dekhiye tasir
giri jo bund ghata se sharab ho ke rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close