sahilon ki khamushi ne jab fasurda kar diya khwahishon ki kashtiyon ko gharq-e-dariya kar diya jism kya tha lazzaton ka ek dariya tha kabhi har kisi ne pi ke jis ko aaj sahra kar diya aaj baithe tak rahe hain umr ka khali gilas mausamon ka mai-kada ye kis ne suna kar diya main barahna jism us ka odh kar phirta raha jama-poshi ke junun ne mujh ko nanga kar diya tha yaqinan doston ki saf mein ek dushman mera be khabar pa kar achanak jis ne hamla kar diya soch ki sari basirat chhinne wale bata tu to suraj tha mera kyun mujh ko andha kar diya wo jo kal tak mangte the mujh se qad mera 'adib' sher ke naqid ne un ko mujh se uncha kar diya