ada-e-dil-baran badli hui hai

ada-e-dil-baran badli hui hai
mohabbat ki zaban badli hui hai

saje hain aslahe almariyon mein
khilaunon ki dukan badli hui hai

khalaon mein tasadum ke sabab se
faza-e-asman badli hui hai

kahan se phul gulshan mein khilenge
bahaar-e-gulsitan badli hui hai

andhere subh tak dam tod denge
rida-e-kahkashan badli hui hai

wahi shikwe gile hain zindagi mein
kahan tarz-e-fughan badli hui hai

hudi-khwan bhul baithe tarz apni
ki sahra ki azan badli hui hai

inayat ki nazar hai dushmanon par
nigah-e-dostan badli hui hai

safine hain rawan 'siddiq' ab bhi
magar samt-e-rawan badli hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close