hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad

hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad
zulmat hui hai nur mein zam muddaton ke baad

ab phir masham-e-jaan mein saba ka khiram hai
kis ne kiya hai jism pe dam muddaton ke baad

nikle hain kis ki aah-e-sahar-tab ke tufail
zulf-e-shab-e-daraaz ke kham muddaton ke baad

lauta hai le ke zehn mein aashob-e-zindagi
dil ka ghazal su-e-haram muddaton ke baad

do-chaar din ki baat nahin ai hujum-e-shauq
milta hai husn-e-jah-o-hasham muddaton ke baad

yakh-basta fikr yaad ki aanchon se garm hai
bhadka hai dil mein shoala-e-gham muddaton ke baad

'sibtain' shahr-e-ilm-o-adab ke nasib mein
hote hain hum se ahl-e-qalam muddaton ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close